Tuesday, June 12, 2012

Shayari collection 1


kisi ke dil kisi ke dil ko jo lag jaye wo baat n kehana
milate hai hamare jaise dost bahut kam
isaliye hamse kabhi alvida na kehana

sabhi nagame saaz main gaye nahi jaate
sabhi log mahphil main bulaye nahi jaate
kuch paas rehakar bhi yaad nahi aate
kuch door rahakar bhi bhoolye nahi jaate

raat hogi to chand bhi dua dega
khwabo main tumhe wo chehara dikhai dega
ye dosti hai jara soch ke karna
ek aansu bhi gira to sunai dega

ret ki jarurat har registan ko hoti hai
sitaron ki jaroorat har asman ko hoti hai

aap hame bhul mat jana kyonki
sache dost ki jaroorat har insaan ko hoti hai

Ek masoom si mohabbat ka bas itana sa fasana hai,
Kagaj ki haweli hai barish ka jamana hai
kya shart 'e' mohabbat hai, kya shart 'e' zamana hai
aawaz bhi zakhmi aur wo geet bhi gana hai.
uss par utarane ki ummid bahut kam hai,
kashti bhi purani hai,tuffa ko bhi aana hai
samjhe yaa na samajhe wo andaz mohabbat ke
ek khas shakhs ko aankho se ek sher sunana hai,
bholi si ada,koi phir ishk ki zid par hai,
fir aag ka dariya hai doob ke jana hai,

phool ki shuruat kali se hoti hai
zindagi ki shuruat pyar se hoti hai
pyar ki shuruat apno se hoti hai
aur apano ki shuruat aap se hoti hai

hawao ke chalane se pate sarsarate hai
khamosh sanate bhi kuch kah jaate hai
hum dosti karte nahi har kisi se
jisase bhi karte hai dil main utar jate hai

Ikaraar mein shabdo ki ehmiyat nahi hoti
dil ke jazabaat ki awaz nahi hoti
aankhe bayan kar deti hai dil ki dastan
dosti lafzon ki mohataz nahi hoti

zindagi mein hamesha naye dost milenge
kahin kum kahin jyada milenge
aitbar jara soch kar karna
mumkin nahi tumhe har jagah hum milenge

main yaha tum waha
zindagi hai kaha
lekin lifeboy hai jahan
tandurusti hai waha
chalo kasam todo aur aaj naha lo

pani aane ki baat karte ho
dil jalane ki baat karte ho
char din se muh nahi dhoya
tum nahane ki baat karte ho

muskarahat ka koi mol nahi hota
kuch rishton ka koi tol nahi hota
dost to mil jaate hai har raste par
par har koi aapki tarah anamol nahi hota

meri dosti koi pepsi nahi jo dil maange mor
koi soap nahi jo pahle istemal karo phir vishwas karo
meri dosti to lic hai zindagi ke saath bhi zindagi ke baad bhi

ek kasak dil hi dil me dabi reh gayi
zindagi main unki kami rah gayi
itani ulfat ke baad bhi wo mujhe yaad na kare
to shayad mere pyar mein hi koi kami rah gayi

kyon marte ho bewafa sanam ke liye
do gaz zamin nahi milegi dafan ke liye
marna hai to mar desh e watan ke liye
hasina bhi dupatta uttar degi tere kafan ke liye

dil ki basti ko na viran banaye rakhana
kuch na ho to bhi yaadon ko sajaye rakhana
chahe na ho mulaqat ka silsila
tab bhi dosti ka rishta nibhaye rakhana

khwahish aisi karo ki asamaa tak ja sako
dua aisi karo ki khuda ko pa sako
u to jine ke liye pal bahut kam hai
un palon ko jiyo aise ki har pal mein .....ko pa sako

zindagi ek chahat ka silsila hai
koi mil jaata hai koi bichad jaata hai
jise maangate hai hum apani duaon main
wo kisi aur ko bin mange mil jaata hai mil jaata hai

main tod leta agar wo gulab hoti
mein jawab banta agar wo sawal hoti
sub jaante hai mein nasha nahi karta
phir bhi pi leta agar wo sharab hoti

chand se jab mulakat hoti hai
aapake bare main unse baat hoti hai
wo kehate hai mere paas khubasurat sitare hai
hum kehte hai sitaron se dilakash dost hamare hai



ek baar jaan mang ke to dekho
ek baar yaad karke to dekho
agar hum naa aye to samajh lena shahajada aaram pharma raha hai

ujale apani yaadon ke bachaye rakhana
na jaane kab zindagi ki shaam ho jaaye

hoti nahi mohabbat soorat se mohabbat to dil se hoti hai
surat unaki khud hi pyari lagati hai kadar jinki dil main hoti hai

har kadam par aapaka ehssas chahiye
mujhe aapaka saath apne paas chahiye
khuda bhi ro pade hamari judai pe
aisi ye dosti kuch khaas chahiye

roti hui aankhon se muskan kaise dun
anjaan hun khud se tumko pehchan kaise dun
tum hi tum ho jaan meri
tum hi batao tumhe apani jaan kaise dun

nishana jo le wo shurveer
nishane pe jo lag jaye wo teer
dil mein jo uttaar jaye wo tasweer
mere jaise dost ka saath mil jaye wo achi taqdeer

ye aankhe lo mujhe kuch kwab do
jisme aapaki zalak ho aisi sharab do
chalo chodo sab baat ek baat mano
meri umar lelo bas ek pal ka saath do


Jab koi paigam hum de nahi pate,jab koi nagama hum suna nahi pate,
yun mat samajhana hum bhul jayenge apako,khyal to aata hai,bas lafz nahi mil pate

jab dekha unhone tirachi nazar se tohum madahosh ho gaye,par jab pata chala ki nazare hi tirchi hai,to hum behosh ho gaye?

Subah ki fiza main jane kya jaadu hai,nind khulate hi aapaki yaad aati hai
pal ye hasin muskurate hai kyonki suraj ki kirano main bhi aap hi nazar aate hai

Ban ke ehasas aapake sath hai,ban ke ummid aapake paas hai,kar sako to mehasus karke dekho
hum to aapaki har saans ke saath hai


na chaho kisiko itana ki usaki chahat tumhari mazaburi ban jaye,chaho kisiko itana ke tumhara pyar usaki zarurat ban jaye

bikhare rishton ko koi rup de do khilate phulon ko thodi dhup dedo aapaki yaad ayi to SMS
kiya hamain aap bhi hamari yaad ane ka koi sabut dedo


Mere sine se dil chura raha hai koi. door hokar yaad a raha hai koi.Ae khuda muijhe use ek
baar mii i koi


kuch pal itane hasin hote hai, ki yaad karke aankho main aansu aa jate hai,
kuch logo ko milne ki furasat nahi,aur kuch milane ko taras jate hain

Mohabbat wo hai jo satati hai,nazuk se dil ko tadapati hai karana na maohabbat kisi se
kambakht ye wo hai jo hansate logo ko rulati hai

Zindagi main kabhi pyar mat katrana ho jaye to inkar mat karana,nibha sako to isame kadam rakhana,varana kisi ki zindagi barbad mat karna

aapako dekhkar ye nigah zhuk zayegi,khamoshi ab har baat keh jayegi,
pad lijiye in aankhin main apani dosti ko , aapaki kasam saari kayamat wahi ruk jayegi

Har rishtye ko ajamaya hai humne kuch paya par bahut gawaya hai humne har us shaks ne rulay hai hume jisako bhi is dil main basaya hai humne

Zamane se alag aapme sharafat dekhi aapake dil main khub mohabbat dekhi hai,
aap insaaan hai ya farishta koi aapaki dosti mai rab ki ibaadat dekhi hai

khush rehana hi zindagi hai,
jina hi khush rehane ki nishani hai
gumi se bhi dosti kar lo kyonki
gamo ki to pal bhar ki kahani hai

hume hasane ki adaat hai,
nazron se nazar milane ki adat hai par hamari to nazar unse ja mili
jinhe nazar zukane ki aadat hai


wo nazar kaha se laun jo tumhe bhula de
wo dawa kaha se laun jo dard mita de milana to likha hota hai takadir main
wo taqdir kaha se lau jo mila de

kon kisi ke liye hasata hai kon kisi ke liye rota hai,
matalab ki is duniya main kon kisi ka hota hai
ab to SMS bhi wo karte
hain jinka SMS free hota hai

apani takalif main mujhe ummid samajhana,
koi gum aye to nazadik samajhana,
de sako muskarahat aansu ke badale to
hazaro dosto main thoda karib samajhana

No comments:

Post a Comment